Is chaatne aur chatwane ki duniya mei
Is chaatne
aur chatwane ki duniya mei ,
Kabhi juta
toh kabhi salam thokne ki addato mei
roj marra ke
boring se fasano mei, bus aur local train mei latak kar ghar wapas jane mei..
Fir ekdin
subah uthke kaam pe jane kliye khud ko fuslane mei..
Baki reh gaye
un sawalo mei, aur roz ke galat jhuthe jawabo mei
Socha hai
kabhi kaha kami reh gayi?
Kaha anjane
mei lagaam kuch dhili chordi?
Kaha jaan
muchkar chutiya ban gaye
Kaha bar
baar thokar khane chale gaye
Kab dil aur
dimag ke beech fass kar kuch zyada hi keh gaye..
Aur kaha sab
kuch sehkar kadwa ghoot piker chup rehgaye..
Is chatne
aur chatwane ki duniya mei vyaktitva ko kyu khote gaye
Kyu khokar
thokare khakar chup rehne ki addat daalkar, chutiye bante reh gaye..
Kabhi talve
chate toh kabhi apne chatwate gaye..
Comments
Post a Comment
Dont forget to share your views on my scribblings...
P.s. Too much of appreciation is injurious to scribbler's health..!!!