Ek talab jine ki
Kuch baat ho gayi hai shayad
Itne toh hum bekhabar nahi
Kuch kho sa gaya hai shayad
itne toh hum adhure nahi..
Itne toh hum bekhabar nahi
Kuch kho sa gaya hai shayad
itne toh hum adhure nahi..
Kuch ehsaas ghul gaya hai mere andar jaise chini ki mithas ho pani mei.
Mithas hai ya kadwahat kya pata tum ko dekhkar mithas ban ati hai,
aur tumhare khone ke darr se kadwahat ban lahu lahu mei ghul jati hai.
Kehte hai mithas kuch zada ho jaye toh kadwahat ban jati hai
kya pata mithas ho ya kadwahat hum toh bekhabar tumko apne andar ghol lete hai
Jo bhi ho tum mithas ya kadwahat, har dafai nashe ki tarah tumhari talab si rehti hai
Ek talab jine ki, aur ek pyaas ghut ghut pikar tum mei fana ho jane ki.

Comments
Post a Comment
Dont forget to share your views on my scribblings...
P.s. Too much of appreciation is injurious to scribbler's health..!!!