Is chaatne aur chatwane ki duniya mei

Is chaatne aur chatwane ki duniya mei ,
Kabhi juta toh kabhi salam thokne ki addato mei
roj marra ke boring se fasano mei, bus aur local train mei latak kar ghar wapas jane mei..
Fir ekdin subah uthke kaam pe jane kliye khud ko fuslane mei..
Baki reh gaye un sawalo mei, aur roz ke galat jhuthe jawabo mei
Socha hai kabhi kaha kami reh gayi?
Kaha anjane mei lagaam kuch dhili chordi?
Kaha jaan muchkar chutiya ban gaye
Kaha bar baar thokar khane chale gaye
Kab dil aur dimag ke beech fass kar kuch zyada hi keh gaye..
Aur kaha sab kuch sehkar kadwa ghoot piker chup rehgaye..
Is chatne aur chatwane ki duniya mei vyaktitva ko kyu khote gaye
Kyu khokar thokare khakar chup rehne ki addat daalkar, chutiye bante reh gaye..
Kabhi talve chate toh kabhi apne chatwate gaye..





Comments

Popular posts from this blog

Monday blues..!

Just As long as we are together

Aaj fir ek cigarette...