Aur tum age beh gaye...

Socha na tha zimmedari ka ehsaas kuch is kadar hoga..
Hum toh ba umr behne ko pure tayyar the..
Na kisi ne roka na humne rokne diya..
Hum toh us samundar mei fana hone nikle the

Phir ek jhatke mei yaad ayi ghar ki..
 Piche kiye gaye un waado ki..iraado ki...ansuyo k dhage se piroyi hassi ki..
Aur Kajal ki rekha kab lakshman rekha ban gayi, kuch ilm na hua..
 Aur hum kuch aise tham gaye ki age kadam badhana aur basmei na raha.. Na piche mudne ki chaah thi na age chalne ki himmat...

Aur tum piche na mudkar age behte gaye....


Comments

Popular posts from this blog

Monday blues..!

Just As long as we are together

Aaj fir ek cigarette...