I have been reading Javed Akhtar's poems lately and I really wanted to share this one..Here it goes..

mujhko yakin hai such kahti thi jo bhi ammi kahti thin,
jab mere bachpan ke din the chand me pariyan rahti thi ek ye din jab apno ne bhi hum se nata tod liya,
ek wo din jab ped ki shakhen bojh humara sahti thi ek ye din jab sari sadken roothi-roothi lagti hain,
ek wo din jab aao khelen sari galiyan kahtin thi ek ye din jab jaagi raten deevaron ko takti hain,
ek wo din jab shamon ki bhi palken bojhil rahti thi ek ye din jab lakhon gum aor kal pada hai aansoo ka,
ek wo din jab ek jara si bat pe nadiyan bahti thi..

Comments

Popular posts from this blog

Retreating back..

Monday blues..!